Haj Umrah Tours

Step by step guide to Umrah | Al-Hateem Tours

Jan 24, 2024

Umrah ka aasan tariqa

وَأَتِمُّواْ ٱلۡحَجَّ وَٱلۡعُمۡرَةَ لِلَّهِۚ

"Aur tum Haj aur Umrah karo Allah ke liye"

Umrah ka tariqa

Niyat: اللَّهُمَّ إِنِّيْ أُرِيْدُ الْعُمْرَةَ فَيَسِّرْهَا لِيْ وَتَقَبَّلْهَا مِنِّيْ

Tarjuma: Aye Allah mein ne irada kiya Umrah ka isko mere liye aasan karde aur qubool karle aur iske adad karne me meri madad farma.

Ahram Ki Tayyari

Sar ke baal, hajamath banwaye, muchen, zer-e-naaf aur bagal ke baal saaf karein.

Ghusl:

Ahram ki niyat se Ghusl ya Wuzu kar lein.

Mardon ka Ahram (Men's Ahram)

Ek safed chadar bandhe, dusri odhein aur jutey utar ka sleeper (hawai) chappal pahen le, sila hua koi bhi kapda maslan underwear, banyan wagaira mana hai.

Aurton ka Ahram (Women's Ahram)

Aurat ka Ahram sirf uska chehra khula rakhna hai. Aurat apne sile huvey kapadon mein rahegi Moue, dastane aur zevaraat bhi pahen sakti hai. Parda bhi zaroori hai lehaza sar par cap numa naqab daaley (aaj kal aise naqaab bazar mein dastiyab hai) Jiss se parda bhi hojaye aur chehra bhi khula rahey, khaas taur par tawaaf mein is ka khiyaal rakhein ke sar ke baal aur kaan chupey rahey aur kurte ki aastin kalai tak ho, Aurat agar naapaki ki halat mein ho tho esi haalat mein Ahram bandhe aur sirf Ahram ki niyyat karein aur do rakat namaz ihram ki na padhe phir Makkah phaunchne ke baad jab tak pak na ho jaaye Masjid-e-Haram mein na jaaye jab pak ho jaye to ghusl kar ke masjid mein jaye, tawaf wo sayee karein.

Ahram ki pabandiyan

Nikah karna, jinsi taaluq ya Jinsi batein, shauhar biwi ka aapas mein bos wo kinar karna, phoolon ka haar pehenna, ladai jhagda, shikar ya iss mein koi taun, juvein marna ya dhoop mein dalna, khizab lagana, khushboo lagana, nakhun, baal katna, ya katarwana, Mardon ko sar, Mard wo Khawateein dono ko chehra dhankna, khusbhoodaar sabun istemaal karna, malmal kar nahaana, gali galoch karna aur sile huve kapde pehenna, dastane aur moze aur aisa juta chappal jiss se qadam ke beech ki haddi chup jaey mardon ke liye mana hain.

Nafil Namaz:

Mard sar dhank kar do rakat Nafil Namaz ada karein. Aurat apne andaz se do rakat Nafil Namaz ada karle. MASHWARA: Hawai Jahaaz se jaane ki surat mein niyyat talbiya ke siva baqu kaam ghar ya airport par karein jab hawai jahaz fiza mein buland hojaye is waqt niyyat aur talbiya padhein. Ya Miqaat Se pehle Saudi Airlines mein elaan hota hai, us waqt bhi padh sakte hain.

Talbiya:

لَبَّيْكَ اللهُمَّ لَبَّيْكَ – لَبَّيْكَ لَا شَرِيْكَ لَكَ لَبَّيْكَ – إِنَّ الْحَمْدَ وَالنِّعْمَةَ لَكَ وَالْمُلْكَ – لَا شَرِيْكَ لَكَ –

Niyat karte 3 martaba talbiyah padh lein

WELCOME

Explore the step-by-step guide to Umrah with Al-Hateem Tours. Our comprehensive umrah guide covers essential topics such as umrah rituals, hajj and umrah guide in Urdu, umrah guide PDF in various languages (Urdu, Hindi), umrah guide for females, ihram for umrah guide, and much more. Go through umrah guide for free and embark on your sacred journey with confidence. Discover valuable insights, tips, and a complete umrah guide book to ensure a fulfilling pilgrimage experience. Your ultimate resource for first-time umrah, Al-Hateem Tours is dedicated to providing you with the knowledge you need for a spiritually enriching journey. Uncover the secrets of umrah with our trusted umrah guide – your pathway to a blessed pilgrimage awaits!